Thursday, June 2, 2016

Saying of Hazrat Imam Mohammad Taqi a.s


Hazrat Imam Mohd Taqi a.s ka Irshad hai : 



"Har wo shaks jo bagair aazmaye hue kisi cheez par bharosa kar leta hai wo apni barbaadi aur apne dardnaak anjaam ko dawat deta hai" 





(beharul anwaar, jild-71,page- 340) 

Saturday, June 13, 2015

"SHABAN UL MUAZZAM"The month of the birth of IMAM (a.t.f.s) of our time.

  بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ                                                            وصلى الله عليك يا ولى العصر عج ادركنا

         GHAIBATE IMAM (A.S) MEIN QURBATE IMAM (A.S) KE TAREEQE.

Imam Muhammed Baqir (a.s) aur Imam Jafar sadiq (a.s) se riwayat hai ke :-

"Banda us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak Khuda ki, uske Rasool ki, tamam Imamon ki aur apne zamane ke Imam ki maarefat na rakhta ho.Tamam umoor mein unki taraf ruj'u kare aur unke saamne puri tarah tasleem rahe aur usko akhri Imam ki maarefat kyunkar haasil ho sakti hai jabke pehle ki maarefat haasil nahi hai".  
                                                                                            (Usool e kafi,vol.1,pg.180,hadees no.2.).

Yaani sirf ek Imam ya chand Imamon ki maarefat kafi nahi hai balke tamam 12 Imamon ki maarefat laazim o zaroori hai.

Tuesday, May 19, 2015

"SHABAN UL MUAZZAM"The month of the birth of IMAM (a.t.f.s) of our time.

  بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ                                                            وصلى الله عليك يا ولى العصر عج ادركنا

".فَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنْتُمْ مُسْلِمُونَ"
(surah baqarah:132)

Translation:"Tumhari maut sirf is haalat me aaye ke tum sachchey musalmaan ho".

                   (islam aur jaahiliyat do mutazaad suratein hai,islam par aakhri saans lene wala jaahiliyat ki maut nahi mar sakta aur jaahiliyat par halaak honewala islam se behramand nahi ho sakta.)

Hazrat MUHAMMED MUSTUFA (s.a.w.s) ne jaahiliyat ki maut se mehfooz rehne ka kimiyayi nuskha in noorani alfaaz me bayaan farmaaya hai.

"من مات ولم يعرف امام زمانه مات ميتة جاهلية"
(sahih bukhari:vol-5,pg-13)

Translation:Jo apne waqt ke imam ki maarefat haasil kiye baghair is duniya se chala jaye iski maut jaahiliyat ki maut hogi.

                  (Lihaaza agar jaahiliyat ki maut yaani halaakat se mehfooz rehna chaahte hai aur is baat ke mutamanni hain ke hamara khaatma aur anjaam islam par ho to hamare liye laazim wa zaroori hai ke hum apne imam e waqt (a.t.f.s) ki maarefat haasil karein.) 

Thursday, May 14, 2015

HIDAYAT BY QURAN ( translation of more than 100 ayats)

1. Apney ghar walon ko namaz ki takeed karo aur khud bhi iss per saabit raho. Hum tum say rozi nahi maangtay bulkay Hum khud tumhen rozi den gay. Aakhir mein bhala perhezgari hi ka hai (Sura Tua'ha Ayat 132)
2. Yaqeenan tumharay liye ibrat ki nishani thi unn do jamaaton mein jo aapas men lar rahay thay. Aik jamaat to Allah ki raah mein lar rahi thi aur doosra giroh kafiron ka tha. Wo (kafir) unhen apni aankhon say apney say dugna dekhtay thay aur Allah jisay chaahay apni madad say mazboot karta hai. Yaqeenan iss mein aqalmandon k liye bari ibrat hai (Sura Aal e Imran Ayat 13)
3. Pasandeeda cheezon ki mohabbat logon k liye aaraasta kr di gaee hai jaisay aurten aur baitay aur sonay aur chandi k jama kiay huay khazaaney aur nishandaar ghoray aur chopaaey aur khaiti. ye duniya ki zindagi ka saamaan hai aur acha thikaana to Allah hi k paas hai. (Sura Aal e Imran Ayat 14)
4.  (Aey Rasul) keh do! Kya mein tumhen iss (dunyawi khushi) say boht hi behatar cheez bataoon? Taqwa waalon k liay unn k Rab k paas jannaten hen jin k neechay nehrain beh rahi hen jin men woh hmesha rahen gay aur pakeeza biwiyaan aur Allah ki raza mandi hai. Sab banday Allah ki nigaah mein hain. (Sura Aal e Imran Ayat 15)
5. (Jannati Wo hen) Jo kehtay hen k aey hamaray Rab! hum imaan laa chukay iss liay hamaray gunaah moaaf frma aur hmen aag k azaab say bacha. Jo sabar karney walay aur sach bolnay waalay aur farmaanbardari karney waalay aur Allah ki raah mein kharch karney waalay aur (raat k) pichlay pehar men bakshish maangney waalay hen.(Sura Aal e Imran Ayat 16,17)
6. Allah, farishtay aur Ahl-e-ilm iss baat ki gawaahi daitay hen k Allah k siwa koi Maabood nahi aur wo adal ko qaaem rakhney waala hai uss Ghaalib aur Hikmat waalay k siwa koi ibaadat k laaeq nahi.(Sura Aal e Imran )
7. Be-shak Allah k nazdeek deen islam hi hai aur Ahl-e-kitab ney apney paas ilm aa janey k baad aapas ki sarkashi aur hasad ki bina pr hi ikhtilaaf kiya hai aur Allah ki aayaton k saath jo bhi kufr karay Allah uss ka jald hisab lainay waala hai (Sura Aal e Imran Ayat 19)
8. Aey Imaan Waalo Allah se Daro aur Us ski taraf waseela dhoondho. Aur Uss ki raah men Jihaad karo Iss Umeed par k falaah paao (Sura Maeda Ayat 35)
9. Khushki aur tari mein logon ki bad aamaaliyon k baees fasad phail gaya. Iss liye k Allah unhen unn kay baaz kartooton ka phal chakha de (bohat) mumkin hai k wo baaz aajayen. (Sura Room Ayat 41)
10. Aur tumharay Rab ne farmaya mujh say dua karo mein tumhari duaon ko qabool karoon ga. Jo loge Meri ibadat say khichtay hen yaqeenan jahannum mein jayen gay zaleel ho kar (Surah Momin, Ayat 60)
11. Aur apnay ooper Allah ki naimat aur Uss Ahad ko yaad karo jo Uss ne tum se lia jab tum ney ye kaha k hum ney sun lia aur ataat ki aur Khabardaar Allah say dartay raho, yaqeenan Allah dilon k raaz jan’nay waala hai (Sura Maeda Ayat 7)
12. Agar inhen Allah per aur Nabi par aur jo Uss par nazil kya gaya hai uss par imaan hota to yeh kuffaar say dostiyaan na kertay lekin inn mein zyada tar faasiq hain (Sura Maeda Ayat 81)
13. Aey insan tujhy apnay Rab-e-karim say kis cheez nay behkaya? Jis (Rab nay) tujhy paida kiya phir thek thaak kya phir (durust) baraber banaya. Jis soorat mein chaaha tujhay jor’ dya (Sura infitaar )
14. Aur Yaqeenan tumharay saron par nighahbaan muqarar hen jo baa izzat likhnay waalay hen. Wo tumharay aamaal ko khoob jaantay hen. Beshak naik loge neamaton men hongay aur bad kaar afraad jahanum men hongay (Sura Infitaar Ayaat 10-14)
15. Beshak tumharay Parwardigaar ki pakar buhat sakht hoti hai. Wohi Paida karnay waala aur Dobara ijaad karnay waala hai. Wohi buhat bakshnay waala aur muhabbat karnay waala hai. Wo Saahib e Arsh e Majeed hai. Jo Chahta hai kar sakta hai (Sura Baooj Ayaat 12-16)
16. Apnay Buland tareen Rab k naam ki tasbeeh karo. Jis ne paida kya hai aur sahi banaya hai. Jis ne taqdeer muay’yan ki hai aur phir hidayat di hai.(Sura Aala Ayaat 1-3)
17.  (Aey Rasul) Hum tumharay liay aasaani ka saamaan kar dain gay lahaaza Logon ko samjhaao agar samjhanay ka faaeda ho. Anqareeb Khof e Khuda rakhnay waala samajh jaaega aur bad bakht iss se door rahay ga. Jo buhat bari aag men jalnay waala hai. Phir Uss (aag) men na zindagi hai na moat. Beshak paakeeza rehnay waala kaamyaab hogaya jis ne apnay Rab k naam ki tasbeeh ki aur phir namaz parhi (Sura Aala Ayaat 8-15)
18. Tum Loge Dunya ki zindagi ko muqadam rakhtay ho jab k aakhirat behtar aur hamesha rehnay waali hai. Ye baat pehlay tamam sahifon men bhi mojud hai. Ibraheem k sahifon men bhi aur Moosa k sahifon men bhi (Sura Aala Ayaat 16-19)
19. Tum yateem ki izzat nahi kartay aur aik doosray ko miskeen ko khaana khilanay ki raghbat nahi dilaatay aur meeraas ka maal sab kha jaatay ho aur dunya k maal ko dost rakhtay ho. Yaad rakho jab zameen ko raiza raiza kar dia jaaega aur tumharay Parwardigaar ka hukm aur farishtay saf dar saf aaen gay aur Jahanum ko iss din saamnay laaya jaaega to insaan ko hosh aa jaaega lekin uss din hosh aanay ka kya faeda (Sura Fajar Ayaat 17-23)
20. Aey Nafs e mutma’in Apnay Rab ki taraf palat aa, iss aalam men k Too Uss se raazi hai aur Wo tujh se raazi hai. Phir meray bandaon men shaamil hoja aur meri jannat men daakhil hoja (Sura Fajar Ayaat 27-30)
21. Kya Hum ne iss (insaan) k liay do aankhain nahi qaraar dee’n aur zaban aur do hont bhi aur hum ne issay donon raaston ki hidayat di hai (Sura Balad Ayaat 8-10)
22. Aur Jin Logon ne Hamari Ayaat se inkaar kya hai wo bad bakhti waalay hen. Inhain aag men daal kar inhain har taraf se band kar dia jaaega (Sura Balad Ayaat 19,20)—————-Hazrat Ali AS se aik shaks ne poocha: Ye Allah baar baar apni kin ayaat (nishaaniyon) se kufar (inkaar) se mana karta hai. Hazrat Ali AS ne farmaya: “Naahn o Ayaatillah”:”Hum hen Allah ki ayaat (nishaaniyan)”(Tafseer e Furaat)
23. Roshan Kitab ki qasam, Hum ne iss Quran ko aik Mubarak raat men naazil kya hai. Hum beshak azaab se daraanay waalay thay. Iss raat men tamam hikmat aur amoor ka faisla kya jaata hai. Ye hamari taraf ka hukm hota hai aur Hum hi Rasulon ko bhejnay walay hen (Sura Dukhaan Ayaat 2-5)
24. Beshak Hum ne issay (Quran ko) Shab e Qadar men naazil kya hai aur tum kya jaano shab e Qadar kya hai. Shab e Qadar Hazaar Mahinon se behtar hai. Iss men Roohul Ameen aur farishtay Allah k hukm k saath amoor le kar naazil hotay hen. Ye raat taloo e Subah tak aman aur salaamti hai (Sura Qadar)
25. Sood khore qayamat k din is tarah uthen gay jaisay shetan ne unhen chu ker paghal bana dya ho. ye is liye k ye kaha kartay thay k tijarat bhi to sood hi ki tarah hai jab k Khuda ney tijarat ko halal kya aur sood ko haram. Jo shaks apney paas aaee hui Allah ki naseehat sun kar ruk gaya to guzra hua sood ka maamla Allah ki taraf hai aur jo phir dobara (haram ki taraf) lota wo jahannumi hai. Aisay loge hamesha hi us mein rahen gay (Sura Baqra Ayat 275)
26. Allah, sood ko mitaata aur sadqay ko barhata hai aur Allah kisi na shukray gunehgar say mohabbat nahi karta. (Sura Baqra Ayat 276)
27. Beshak jo loge imaan k saath naik kaam kartay hen, namazon ko qaaem kartay aur zakaat ada kartay hen un ka ajar un k Rab k paas hai, un par na to koi khof hai na udaasi aur gham (Sura Baqra Ayat 277)
28. Aey imaan waalo! Allah say daro aur chor do jo sood (agar kisi ka tum par) baaqi reh gaya hai, agar tum sachay imaan waalay ho. Aur agar aisa nahi kya to Allah aur Us k Rasool say larney k liye tayyar hojao, haan agar tauba karlo to tumhara asal maal tumhara hi hai. Na tum zulm karo, na tum par zulm kiya jaey.(Sura Baqra Ayat 278,279)
29. Aur agar tumhara qarz daar buray haal men hai to ussay haalaat behtar honay tak mohlat do aur agar qarz maaf kar do to tumharya liye boht hi behtar hai agar tum mein ilm ho.(Sura Baqra Ayat 280)
30. Aur us din say daro jis men tum sab Allah ki taraf paltaaey jao gay aur har shaks ko us k aamaal ka poora poora badla diya jaaega aur un par zulm nahi kya jaey ga.(Sura Baqra Ayat 281)
31. Aey imaan waalo! Jab tum aapas men aik doosray say miyaad-e-muqarar par qarz ka maamla karo to isay likh lya karo.(Sura Baqra Ayat 282 Pehla Hisa)
32. Aur agar tum safar mein ho aur (qarz ka maamla) likhney waala na paao to rehan qabzay men rakh lo, haan agar aapas men aik doosray say mutmaen ho to jissay amaanat di gaee hai wo ussay ada kar de aur Allah say darta rahey jo uss ka Rab hai aur gawaahi ko na chupaao aur jo issay chupa le wo gunehgaar hai aur jo kuch tum kartay ho ussay Allah khoob jaanta hai (Sura Baqra Ayat 283)
33. Aasmanon aur zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharay dilon men jo kuch hai ussay tum zaahir karo ya chupaao, Allah us ka hisaab tum say le ga. Phir jissay chahay bakshay aur jissay chahay saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai (Sura Baqra Ayat 284)
34. Rasool imaan laaya har us cheez pe jo us per Allah ki jaanib say utri aur momin bhi Allah aur Uss k farishton aur Uss ki kitabon aur Uss k Rasulon par imaan laaey. Un ka kehna hai k hum Uss k Rasulon men say kissi men tafareeq nahi kartay, hum ne suna aur itaat ki. Hum teri bakshish talab kartay hen aey hamaray Rab!, aur hamen teri taraf hi lotna hai. (Sura Baqra Ayat 285)
35. Allah kissi jaan ko uss ki taaqat say ziyada takleef nahi deta, jo naiki wo karay wo uss k liye aur jo buraee wo karay wo uss per hi aaey. Hamaray Rab! Agar hum bhool gaey hon ya khata ki ho to hamen na pakarna aey humaray Rab! hum par wo bojh na daal jo hum say pehlay logon pe daala tha, aey hamaray Rab! hum par wo bojh na daal jiss ki hum men taaqat na ho aur hum say dar guzar farma! Aur hamen baksh de aur hum par reham kar! Tu hi hamara maalik hai hamen kafiron ki qoam par ghalba ataa farma. (Sura Baqra Ayat 286)
36. Beshak Hum nay tumhen kausar ataa ki.Pus tu apney rab kay liey namaz parho aur qurbani karo. Beshak tumhara dushman hi be naam-o-nishaan rahey ga.(Sura Kausar)
37. Aur jo apni shahadatonpar qaim rehtey hen aur jo apni namaz ki khabar rakhtey hen yehi loge jannat k baghon men izzat o ikraam se hongey (Sura Alma'arig Ayat no 33,34,35)
38. Aey Rasul keh do k meray Rab ne tamam behayaai ki baaton Ko, jo zaahir kar ke ki jayen ya chupa kar (ki Jayen) haraam qarar dia hai aur har gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm karney ko aur is baat ko k tum Allah k saath shareek thehraao jiss ki Allah ne koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko k tum loge Allah par aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi. (Sura Aaraaf Ayat no 33)
39. Jo Apne Rab k samnay kharay honay se darta aur nafs ko khwahishaat se rokta raha uska thikana Jannat hai" (Surah Naziaat Ayat 40-41)
40. Kya insan ye khayaal karta hai k Hum uss ki hadiyan jama nahi karen gay.Haan zaroor Karen gay, Hum to Qaadir hen k uss ki (ungliyon ki) por por tak durust (jama) kar den (Sura Qayamat Ayat 3-4)
41. Aur aasmaan ko Hum ne apnay haathon se banaya hai aur beshak Hum (hi) issay wusa’t denay waalay hen (Sura Zaariyaat Ayat 47)
42.  (Aey Rasul) Jo kitab tumhari taraf wahee ki gaee hai ussay parho aur namaz qaaem karo. Beshak namaaz be hayaee aur buraee say rokti hai. Be-shak Allah ka zikr sab se bara hai aur Allah jaanta hai jo kuch tum kartay ho (Sura Ankaboot Ayat 45)
43. Allah Wo hai jiss kay siwa koi Maabood nahi. Jo zinda aur sab ka nigehbaan hai. (Sura Aal e Imran Ayat 2)
44. Uss (Allah) ne (Aey Rasul) tum per sachi kitab nazil farmaae jo pichli kitabon ki tasdeeq karti hai aur Uss ne is say pehlay Toraat aur Injeel utaraeen (jo) iss say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur Quran bhi Ussi ney utara jo log Allah ki aayaton say kufur kertay hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Ghalib hai badla lenay wala hai. (Sura Aal e Imran Ayat 3,4)
45. Yaqeenan Allah say zamin-o-aasman ki koi cheez posheeda nahi. Wo maan kay pait men tumhari soorten jiss tarah ki chaahta hai banata hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi Wo Ghalib hai Hikmat waala hai. (Sura Aal e Imran Ayat 5-6)
46. Wohi Allah hai Jiss ney tum per kitab utari jiss mein waazeh mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai wo to iss ki mutashabeh aayaton k peechay lag jatay hain fitney ki talab aur inn ki muraad ki justujoo k liye halankay inn ki haqeeqi muraad ko siwaye Allah k koi nahi janta aur pukhta aur mazboot ilm waalay yehi kehtay hain k hum to inn per imaan laa chukay yeh humaray Rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf aqal mand hi hasil kertay hain. (Sura Aal e Imran Ayat 7)
47. Aey humaray Rab! Hamen hidayat denay kay baad humaray dil tairhay na kar day aur humen apney paas say rehmat ata farma yaqeena tu hi boht bari ataa denay waala hai (Sura Aal e Imran Ayat 8)
48. Aey humaray Rab! Tu yaqeenan logon ko aik din jama kerney waala hai jiss k aaney mein koi shak nahi. yaqeenan Allah waada khilafi nahi kerta. (Sura Aal e Imran Ayat 9)
49. Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulaad Allah (k azaab) say churaney mein kuch kaam na aaey gi. Wo to jahannum ka indhan hi hain.Jaisa aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay. unhon ney hamari aayaton ko jhutlaaya phir Allah ney bhi unhen unn kay gunahon par pakar liya aur Allah sakht azaab dainay waala hai. (Sura Aal e Imran Ayat 10,11)
50. Beshak Allah ne Adam aur Nooh aur Aal-e-Ibraheem aur Aal-e-Imran ko tamam jahanon par chun lia hai. Ye aik doosrey ki nasal men se hen aur Allah sub kuch sunney wala aur jaanney wala hai (Sura Aal-e-Imran Ayat 33, 34)
51.  (Logo) jab tak Khuda napaak ko paak se alag nahi kar daiga momino ko is haal men jis haal men tum ho har giz nahi rehney de ga aur Allah tum ko ghaib ki baton se bhi mutl’aa nahi karey ga albata Khuda apney Paighambaron men se jisey chahta hai intekhab kar laita hai to tum Khuda par aur us k Rasulon par imaan laao aur agar imaan laogey aur parhaizgaari karogey to tum ko ajr-e-Azeem miley ga (Sura Aal-e-Imran Ayat 179)
52. hum ne tumhari taraf is tarah wahi bheji hai jis tarah Nooh aur in se pichley paighambaron ki taraf bheji thi. Aur Ibraheem aur Ismaeel aur Ishaaq aur Yaqoob aur Aulad-e-Yaqoob aur Isaa aur Ayub aur Yunas aur Haroon aur Suleman ki taraf bhi hum ne wahi bheji thi aur Daood ko hum ne zaboor bhi inayat ki thi. Aur buhat se paighamber hen jin k halaat hum tum se pehley bayan kar chukey hen aur buhat se paighamber hen jin k halaat tum se bayan nahi kiay aur Moosa se to Khuda ne baten bhi keen. Paighambaron ko khuskhabri sunaney waley aur daraney waley (bana kar bheja tha) taakey paighambaron k aaney k baad logon ko Khuda par ilzaam ka moka na rahey aur Khuda ghalib hikmat wala hai (Sura Nisa Ayat 163,164,165)
53. Allah Taalaa ki raah mein kharch karo aur apney haathon halakat mein na paro aur sulook-o-ehsan karo Allah Taalaa ehsan kerney walon ko dost rakhta hai.(Sura Baqra Ayat No 195)
54. Tum jitna kuch kharch karo (yani khairaat) aur jo kuch mannat maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi.(Sura Baqra Ayat 270)
55. Jin logon ney neki ki hai un kay wastay khoobi hai aur mazeed izafa bhi hai aur un kay chehron per na siayahi chaaye gi aur na zillat. yeh log jannat mein rehney walay hain woh is mein hamesha rahen gay.(Sura yunas ayat 26)
56. Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath naik salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon, na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai. woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil karo.(Sura Nahal ayat 90)
57. Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharch kertay hain phir us kay baad na to ehsan jatatay hain aur na ezza (takleef) detay hain un ka ajar un kay Rab kay paas hai, un per na to kuch khof hai na woh udas hongay.(Sura Baqra ayat no 262)
58. Naram baat kehna aur maaf ker dena us sadqay say behtar hai jis kay baad ezza rasani (takleef di jaey) ho aur Allah Taalaa bey niaz aur burdbaar hai (Sura baqra ayat no 263)
59. Aey eman walon apni khairaat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata. (Sura baqra ayat no 264)
60. Wohi to hai jis ney aftab ko roshan aur chand ko munawar banaya aur chand ki manzilen muqarrar kin takay tum barson ka shumar aur (kamon ka) hisab maloom karo. Ye (sab kuch) Khuda ne tadbeer se paida kya hai. Samajhney walon k liay wo apni ayaten khol khol kar bayan karta hai (Sura Yunas Ayat 5)
61. Yaqeenan hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon kay liye usay saja diya hai.Aur issay her mardood shaitan say mehfooz rakha hai. (Sura Hijr Ayat 16,17)
62. Aur Usi ney tumharey liay raat din aur sooraj chand ko kaam men lagaya aur Usi k hukm se sitaray bhi kaam men lagey huay hen. Samajhney walon k liay is men (Qudrat-e-Khuda ki buhat si) nishaniyan hen (Sura Nehal Ayat 12)
63. Wohi to hai jis ney raat aur din aur sooraj aur chand ko paida kya hai. Ye sub asmaan men (apney apney madaar mein) tair rahey hain. (Sura Anbia Ayat 33)
64. Aur Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain (Sura Mominoon Ayat 17)
65. Aur sooraj kay liye jo muqarrara raah hai woh usi per chalta hai yeh Ghalib o Daana Khuda ki muqarrar kerda hai. Aur chand ki hum ney manzilen muqarrar ker rahkhi hain yahan tak kay wo loat kr purani tehni ki tarah hojata hai.Na aftab ki yeh majaal hai kay chand ko ja pakray aur na raat din per aagay barh janey wali hai aur sab apney daaerey men tair rahey hen (Sura Yasin Ayat 38-40)
66. Is (Khuda) ney saat aasman upper talay banaey (to aey dekhnay walay) kya tu Rehman ki khilqat mein koi bey-zaabtagi dekhta hai. Dobara (nazren daal kar) daikh kiya (aasmaan men) tujhey koi shigaaf nazar aata hai. Phir dobara dekh teri nigah teri taraf zalil (o-aajiz) ho kar thaki hui loat aayegi.(Sura Mulk Ayat 3-5)
67. Aey Rasul jo kuch bhi aap ki taraf aap kay Rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ne Us (Khuda) ka paigham puhanchaya hi nahi aur Allah logon say aap ki hifazat khud farmaey ga be-shak Allah kafiron ko hidayat nahi deta. .(Sura Maaeda Ayat 67)
68. Deen men koi zabardasti nahi, hidayat gumrahi say alag ho chuki hai is liye jo shaks Khuda kay siwa doosray maboodon ka inkar ker kay Khuda per eman laey us ney mazboot rassi ko thaam liya jo kabhi na tootay gi aur Khuda sunney wala janney wala hai (Sura Baqra Ayat 256)
69. Kya tu ney usay nahi dekha jo saltanat paa ker Ibrahim say us kay Rab k baray mein jhagar raha tha jab Ibrahim ney kaha maira Rab to wo hai jo zinda krta aur maarta hai wo kehney laga mein bhi zinda krta aur maarta hun ibrahim ney kaha Khuda suraj ko mashriq say nikalta hai tu isay maghrib se nikaal. Ab to wo kafir bhoncka reh gaya aur Khuda zalimon ko hidayat nahi deta (Sura Baqra Ayat 258)
70. Aur agar tmhara Rab chahta to tamam loge imaan laatey to kya tum logon per zabardasti karna chatay ho k wo momin ho jaaen. Halan kay kisi shaks ka imaan lana Khuda kay hukm kay baghair mumkin nahi. Aur Khuda bey aqal logon per azaab daal daita hai. (Sura Yunas Ayat 99 100)
71. Wo Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhaari bhaari baadlon ko paida kerta hai. (Sura Raad Ayat 12)
72. Aur wohi hai jo logon k na umeed hojaney kay bad barish barsata hai aur apni rehmat phaila daita hai. Wohi hai kaar saaz aur qabil-e-hamd-o-sana. (Sura Shura )
73. Pas (aey rasool) aap kay pass ilm aajaney kay baad jo shaks Issa k maamley men aap se jhagra krey to aap keh den kay aa jao hum (mil kar) apney baiton ko aur tmharey baiton ko aur apni aurton ko aur tmhari auraton ko aur apni jaanon ko aur tmhari jaanon ko bula laity hen. Phir hum mubahila kartey hen aur jhooton per Allah ki laanat bhejtey hen. (Sura Aal-e-Imran Ayat 61)
74. Aur Khuda ki raah men marney walon ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay. (Sura Baqra Ayat 154)
75. Jab farishton ney kaha aey Marium! Khuda tujhay apney aik kalmay ki khushkhabri daita hai jis ka naam Maseeh Essa ibn Marium hai jo duniya aur aakhirat mein zee izzat hai aur wo meray muqarrabeen mein say hai. Wo logon say apney gehwaray mein baatain karay ga aur bari umar mein bhi aur woh naik logon mein say hoga. (Sura Aal e Imran Ayaat 45 -46)
76.  (aey Rasul) So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len. phir jo faisla aap in mein ker den in say apney dil mein kisi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen (Sura Nisa Ayat 65)
77. Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay.(Sura Nisa Ayat 74)
78. Jo shaks kissi neki ya bhalay kaam ki sifarish keray usay bhi us ka kuch hissa milay ga aur jo buraee aur badi ki sifarish keray us kay liye us mein say aik hissa hai aur Khuda her cheez per qudrat rakhney wala hai. (Sura Nisa Ayat 85)
79. Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Khuda say istaghfaar keray to woh Khuda ko bakshney wala meharbani kerney wala payega.(Sura Nisa Ayat 110)
80. Allah Taalaa tumhen saza dey ker kiya keray ga? Agar tum shukar guzari kertay raho aur ba eman raho Allah Taalaa boht qadar kerney wala aur poora ilm rakhney wala hai.(Sura Nisa Ayat 147)
81. Ya ye logon say hasad kertay hain is per jo Khuda ney apney fazal say unhen diya hai pus Hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab aur hikmat di hai aur bari saltanat bhi ata farmaee hai. (Sura Nisa Ayat 54)
82. Yaqenan ye (Quran) aik buzrug Rasool ka bataya hua hai. Jo qoowat wala hai arsh waly (Allah) kay nazdeek buland martaba hai. Jis ki (asmanon mein) itaa’t ki jati hai (aur wo) ameen hai. (Sura Takweer Ayaat 19-21)
83. Aur yeh (Quran) shaitan mardod ka kalam nahi.Phir tum kahan jarahy ho.Yeh to tamam jahaan waalon kay liey nasehat nama hai.(bilkhosos) us kay liey jo tum mein say sedhi raah per chalna chahay.(Sura Takweer Ayaat 25-26
84. Aey insan tujhy apnay Rab-e-karim say kis cheez nay behkaya? Jis (Rab nay) tujhy paida kiya phir thek thaak kiya phir (durust) baraber banaya. Jis soorat mein chaha tujhy jor diya.(Sura Infitaar Ayaat 6-
85. Wo (Khuda) bara bakhsish kerney wala aur bohat mohabat kernay wala hai. (Sura barooj Ayat 14)
86. So wo (insaan) ghaati men se kyun nahi guzra. Aur tum kya jaano ghaati kya hai. Kisi garden (ghulaam) ko aazaad kerna. ya bhook k din men khana khilana. Kisi reshtay daar yateem ko.Ya khaaksaar miskeen ko. Phir wo un logon mein shaamil hojata jo imaan laey aur ik dosry ko sabar ki aur reham kerney ki nasihat ki. Yehi log khush naseebi waaley hen. (Sura Balad Ayaat 11 -)
87.  (Aey Rasul) Tujhay Taira Rab buhat jald (inaam) daiga aur Tu raazi (khush) hojaey ga. Kya us nay Tujhay yateem paa kar jagah nahi di? Aur tujhay gum gushta paa kar manzil tak nahi puhanchya? Aur tujhay na-daar paa kar ghani nahi banaya? (Sura Zuhaa Ayaat 5-
88. Kya tum nay us shaks ko daikha hai jo qayamat ko jhutlaata hai? ye wo hai jo yateem ko dhakkay daita hai. Aur miskeen ko khilaney ki targheeb nahi daita. To tabaahi hai Un namazion kay liye. Jo apni namazon say ghafil rehtay hen.Jo dikhawa kertay hein. Aur baratnay ki cheezen maangay nahi daitay. (Sura Maa’oon)
89. Aur Hum ney Quran ko hidayat kay liye aasan kardiya hai to koi hai naseehat hasil karney waala?   (Sura Qamar Ayat 17)
90. Ye (Quran) baa-barkat kitab hai jisay Hum ney (Aey Rasul) aap ki taraf is liye nazil farmaya hai kay loge is ki aayaton per ghor karen aur aqalmand is say naseehat hasil karen.  (Sura Suaad Ayat 29)
91. Allah ki taraf rujoo kar k Us say dartay raho aur namaz ko qayam rakho aur mushrikeen main say na ho jao.  (Sura Rome Ayat 31)
92.  (Aur) un logo main (na hona) jinhon nay apnay deen ko tukray tukray kar dya aur (khud) firqay firqay ho gaye. Sab firqay usi say khush hen jo unkay pass hay.   (Sura Rome Ayat 32)
93. Hidayat aur Khushkhabri hai un imaan walon k liye jo Namaz Qaim kartay, Zakat ada kartay aur Aakhrat pe Yaqeen rakhtay hain" (Sura Namal Ayat 2,3)
94. Musalmano! Unn logon ko dost na banao jo tumharay deen ko hansi khel banaye huye hain (khuwa) woh un mein say hon jo tum say pehlay kitab diye gaye ya kuffaar hon agar tum momin ho to Khuda say dartay raho. (Sura Maeda Ayat 57)
95. Daikho ye (Quran) aik nasehat hai. Jo chahay us say nasihat le. (Ye) Purazmat sahifon mein se hai. Jo buland-o-bala or pak saf hein. Aesay likhnay waalon kay haaton mein hai. Jo buzurgh or pakbaz hein. (Sura Abas Ayaat 11-16)
96. Jo loge imaan laye un ke dil Allah ke zikr se itminan hasil kartay hen. (Sun Lo!) Allah ke zikr se hi dilon ko Sakoon milta hy"(Sura Ra'ad )
97. Beshak jo log bin daikhey apney Rab se dartey hen un k liay bakhshish aur bara ajar hay   (Sura Mulk, Ayat 12)
98. Tum Wo Behtreen Qoam They Jisey Logon K Faaidey K Liye Paida Kia Gya Hai Ta K Tm Amr o Nhi Ko Anjam Do Or Khuda Pr Emaan Le Aao, Or Agr Deegar Ahl e Kitab Imaan Le Aain To Un K Liye Faida Hai, Lekn Un Main Se Thorey Hi Sahib e imaan Hain Wrna Aksr Fasiq Hain (Sura Aal e Imran Ayat No 110)
99.  Mujremon se (poochen gay).Tumhein dozakh mein kis cheez ne daala.Wo jawab daingay ke hum namazi na thay.Na miskeeno ko khana khilatay thay.Aur hum logon k baihooda kaamon men shamil ho jaatey thay.Aur roz-e-jaza ko jhutlatay thay.Yahan tak kay humein maot agai. (Sura Mudassir, Ayaat 41-47)
100.  Tumharay maal aur aulad tumahri aazmaeesh hain aur Allah kay paas Ajr e azeem hai. (Sura Taghabun, Ayat 15)
101. Mominon ko chahaiye k imaan waalon ko chor ker kafiron ko apna dost na banayen aur jo aisa keray ga wo Khuda ki kissi himayat mein nahi magar yeh k in k shar say kisi tarah bachao maqsood ho aur Khuda tumhen apney ghazab say dara raha hai aur Khuda hi ki taraf loat jaana hai. (Sura Aal e Imran)
102. Aey imaan walo! Allah aur US k Rasool kay bulaney par haazir ho jab tumhen Rasool us cheez k liay bulaen jo tumhen zindagi bakshay gi. Aur jaan lo k Allah ka hukm aadmi aur us k dilli iradon k darmayan haayal ho jaata hai aur bila shuba tum sab ko Allah hi k pass jaana hai. (Sura Infaal, Ayat 24)
103. Aur is fitnay say dartey raho! Jo har giz tum men se khaas zaalimon ko na puhanchey ga aur jaan lo kay Allah sakht saza denay wala hai. (Sura Infaal, Ayat 25)
104. Wo jo apney gharon se na huq nikaley gaey sirf is baat par k unhon ne kaha hamara Rab Allah hai. Agar Allah logon ko aapas mein aik doosray say na hatata rehta to zaroor gira diay jaatey khaan qaahen aur kaleesa aur girjay aur masjiden jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor us ki madad keray ga. Be-shak Khuda bari qoowaton waala baray ghalbay wala hai. (Sura Hajj, Ayat 40)
105. (Aey Rasul) Keh do! kay jo badla mein tum say maangoon wo tumharay liye hai mera badla to Allah hi kay zimmay hai. Wo har cheez say ba-khabar hai. (Sura Saba, Ayat 47)
106. Yehi woh hai jis ki bisharat Allah apney bandon ko dey raha hai jo imaan laaey aur naik aamaal kiyey to (Aey Rasul) keh do! K mein is (risalat) per tum say koi badla nahi chahta magar mairay rishteydaaron ki muhabbat k aur jo (ye) naiki keray Hum us k liye us ki naiki mein aur naiki barha den gay be-shak Allah bohat bakhshney wala (aur) boht qadardaan hai. (Sura Shura, Ayat 23)
107. (musalmano!) tumharay liye Hazrat Ibrahim mein aur un k sathiyon mein behtareen namoona hai jabkay unn sab ney apni qom say bar mala keh diya k hum tum say aur jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho un sab say bilkul bayzaar hain. Hum tumharay munkir hain jab tak tum Allah ki wahadaniyat per imaan na lao hum mein tum mein hamesha kay liye bughz-o-adawat zahir hogaee lekin Ibrahim ki itni baat apney baap say hui thi kay mein tumharay liye istaghfaar zaroor karoon ga aur tumharay liye mujhay Allah k samney kisi cheez ka ikhtiyar nahi. Aey humaray Parwardigaar Tujhi per hum ney bharosa kya hai aur Teri hi taraf rujoo kertay hain aur teri hi tarf lotna hai.(Sura Mumtahina Ayat 4)
108. Aey Ahl-e-kitab! Allah ki ayaton se kyun kufar kartey ho haalaankey tum khud gawah ho? (Sura Aal e imran Ayat 71)
109. Be-shak Allah Taalaa un logon say mohabbat karta hai jo us ki raah mein saf basta jihad kertay hain goya woh seesa pilaee hui diwaar hain.(Sura Saaf Ayat 4)
110. Aur jab in k paas koi nishani aaey to kehtay hain k hum hargiz imaan na laaen gay jab tak k hum ko bhi aisi hi cheez na di jaaey jo Allah kay Rasulon ko di jati hai. Allah khoob jaanta hai k kahaan Wo apni Risalat rakhay. Anqareeb mujrimon ko Allah k haan zillat phonchay gi aur in ki sharaaraton k badley mein sakht azaab. (Sura Inaam Ayat 124)
111. (Aey Rasul) Aap say pehlay bhi hum mardon ko hi bhejtay rahey jin ki janib wahee utara kertay thay pus agar tum (mushrikeen) nahi jantay to Ahl-e-ilm say daryaft karlo.(Sura Nehal Ayat 43)
112. (Aey Rasul) Yaqeenan Hum ney tumhari taraf haq kay sath apni kitab nazil farmaee hai taakay tum logon mein is cheez k mutaabiq faisla karo jis say Allah ney tum ko shanasa kya hai aur khayanat kerney waalon k himayati na bano.(Sura Nisa Ayat 105)
113. Aey nabi! Apni biwiyon say keh do kay agar tum duniya ki zindagi aur zeenat chahati ho to aao mein tumhen kuch dey dila doon aur tumhen achaee kay sath ruksat kar doon. Aur agar tumhari murad Allah aur us ka Rasool aur aakhirat ka ghar hai to tum mein say naik kaam karney waaliyon k liye Allah ney boht zabardast ajar rakha hai.(Sura Ahzaab Ayat 28, 29)
114. Aur jab in say kaha jata hai kay zameen mein fasaad na karo to jawaab daitay hain k hum to sirf islaah kerney waalay hain. Khabardaar ho! yaqeenan yehi loge fasaad karney waalay hein lekin sha’oor (samajh) nahi rakhtay. (Sura Baqra Ayat 11,12)
115. Aur jab in say kaha jaata hai k aur logon ki tarah tum bhi imaan laao to jawab daitay hen k kya hum aisa imaan laaen jaisa bewaqoof laae hain. khabardaar hojao! yaqeenan yehi bewaqoof hen lekin jaantay nahi. (Sura Baqra Ayat 13)
116. Aey logo! apney us Rab ki ibadat karo jis nay tumhen aur tum say pehlay k logon ko paida kya shaayad k tum muttaqi aur parhaizgaar ban jao. Jis nay tumharay liye zameen ko farsh aur aasman ko chutt banaya aur aasman say paani utaar kar us say phal paida kar k tumhen rozi di. khabardaar bawajood janney k Allah k shareek muqarar na karo. (Sura Baqra Ayat 21, 22)
117. Tum Allah k saath kaisay kufr kartay ho? Halankay tum murda thay Us nay tumhen zinda kiya phir tumhen maar dalay ga phir zinda karay ga phir ussi ki taraf lotaey jaao gay. Wo Allah jis nay tumharay liye zameen ki tamam cheezon ko paida kya phir aasman ki taraf qasad kiya aur un ko theek thaak saat aasman banaya aur Wo har cheez ko jaanta hai. (Sura Baqra Ayat 28, 29)
118. Kya logon ko bhalaai ka hukm kartay ho? Aur khud apney aap ko bhool jaatay ho baa wajood is k kay tum kitaab parhtay ho. kya itni bhi tum mein samajh nahi? (Sura Baqra Ayat 44)
119. Aur sabar aur namaz kay sath madad talab karo. Beshak namaaz bhaari hai siwaey un k jo dil se Mairi taraf jhuktey hen. Jo jaantay hen k beshak wo apney Rab say mulaqaat karney waalay aur ussi ki taraf loat kar jaaney waalay hen. (Sura Baqra Ayat 45, 46)
120. Aur jab Hum ney Moosa say 40 raaton ka waada kya phir tum ney us kay peechay se bachra poojna shuroo kar diya aur zalim ban gaey. Lekin Hum nay baawajood is k phir tumhen maaf kar dya taakay tum shukr karo. (Sura Baqra Ayat 51, 52)
121. Aur jab tum ney Moosa say kaha tha k jab tak hum apney Rab ko apney saamney na daikh len hargiz imaan na laaen gay jis k baad bijli ne tumhen le daala aur tum daikhtey reh gaey. Phir iss maut kay baad bhi Hum ney tumhen zinda kar dya k shaayad tum shukar guzari karo. (Sura Baqra Ayat 55, 56)

AQWAL-E-MOLA ALI (A.S)

AQWAL-E-MOLA ALI (A.S)

HAZRAT ALI ( ALEHMUSSALAM) KE AQWAL



§ “Apni zuban ko naram guftugoo aur Salam ka Aadi banao, kay is say tumhare Dost Ziyada hon gay aur Dushman kam hon gay”. Imam ALI a.s

§ “Insan ka Nuksan Maal Aur Jaan ka chala jana nahi, Insan ka sab se baar Nuksan kisi ki Nazar se Girr jana hai”. Imam ALI a.s

§ “IKHTIAR” Taqat aur Dolat milnay per Log badaltay nhi balkay BENAQAB hotay hain”. 
Imam ALI a.s

§ Ameer UL Momineen Hazrat ALI a.s Says: Injeel me mera naam AYELIA, Taurayt me BARI, Zaboor me ARI, Hindustanio me KABKAR, Romio me BATRISA, Farsio me JABTAR, Turkion me SHABEER, Zangio me HAYSAR, Kahino me LOYI, Habshio me SHABREEK, Armenio me FAREEQ, Mary walid k nzdeek ZAHEER, Maan k nzdeek HAYDER, Aur Arab k nzdeek ALI hy, Quran me mary bohat sy naam hain, tum un naamo ko ehmiat nhi dety.. Lihaza daro aur khabrdar raho… Ref: Bahaar UL Anwaar, vol. 33

§ “Zarurat k liye ALLAH ko Pukarne wala dono Halton me ALLAH ko chor deta hai, Zarurat Puri ho jaye tab bhi Aur Zarurat puri na ho tab bhi”. Imam ALI a.s

§ “Logon k khof me aa kar HAQ goi se na rukna, Yad Rakho,,!! Na to koi Maut ko Qareeb kar sakta hai, Aur na Rizq ko Door kar sakta hai”. Imam ALI a.s

§ “Dunia aur Akhrat Mashrik O Maghrib ki Man’nad hain, Aur Chalnay Wala Shakhs jitna aik se Qareeb hoga, Itna hi Dusre se Door hoga”. Imam Ali a.s

§ “Agar Insan ko TAKABUR k bary me ALLAH ki Narazgi Or Saza ka ILM ho jaye to Khouf e Khuda Sy sirf Fakeero, Ghareebo sy Mily Or Mati py Betha kary”. Imam Ali a.s

§ “Kameena Admi kam tar Martaba pa kar bhi Itrane Lagta hai Jesa k Ghaas Hawa k halky se Jhonky sy bhi Hilne lagty hain”. Imam Ali a.s


FARMAN HAZRAT ALI A.S
Tm jo aik Gaali detay ho,,
Oss say tumharii Qabr main aik Bichoo banta hai..,

Specially dedicated to our young generation...

*************************************************

§ “Jab tum kisi Mazloom ko dekho to Zalim k Khilaf uski madad karo”.
Mola Ali a.s
********************************
§ Saying of Hazrat ALI (a.s) 
“Insan ko bolney k liye 1 saal lagta hai. Par konsa lafz kahan Istemal karna chahye ye seekhne k liye puri zindagi lag jati hai”.

                                                 **********************************

· Insaan ka apnay Dushman se inteqaam ka sub say acha tariqa ye he k
wo apni khoobiyo’n me izafa karey '
Hazrat Ali (A.S)
________________________________________________________
· Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, ALLAH k nazdeeq us nayki se behtar
hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Kisi ne Hazrat ALI A.S se poocha: "Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya: "Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha: "Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti
cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya: "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar
bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar
aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
________________________________________________________
· Agar kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do
Wo Aa’la zarf huwa to aap ko aur izzat day ga or kam zarf huwa to
khud ko Aa’la zarf sumjhay ga.
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Hazrat ALI A.S Ka Farman Hay:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hay"
"Agar Jalta Hoga To Aap ko Jala Dega"
"Aur Agar Bujha Hoga To Aap K Hath Kaaley Kar Dega"
________________________________________________________
· Aazmaye Huwe Ko Azmana Bewakufi He.
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Hazrat ALI A.S ka farman hay:
Apne Dushman Ko 1000 (Hazaar) Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost
Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 (Aik) Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara
Dushman Banay
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
(Hazrat ALI A.S)
________________________________________________________
· Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
(HAZRAT ALI (A.S)
________________________________________________________
· Jab meri DUA qabool ho tu mein khush hota hu’n kyun k is mein meri
marzi hai aur Jub qabool na ho tu mein aur khush hota hu’n kyun k ye
ALLAH ki marzi hai
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT aisi cheezai’n hai’n jin k milnay say
log badaltay nahi’n BAYNAQAB hotay hain
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________

· Agar tum kisi ko chota dekh rahey ho, to tum usay door se dekh rahey
ho, Ya phir ghuroor se dekh rahey ho
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· ALLAH k nazdeek sab say ziyada guneh gaar cheez jhoot bolnay wali
zuban hay.
(Hazrat Ali A.S)
________________________________________________________
· GULAAB KA PHOOL BANO! KYUN K YEH PHOOL US K HATH MEI BHI
KHUSHBU CHOR DETA HAI JO ISAY MASAL KAR PHAINK DETA HAI.
(HAZRAT ALI A.S)
________________________________________________________
· Mein Jannat K Shawq mein ibaadat nahi karta,
Kyun K Ye ibaadat nahi Tijaarat hay
Mein Dozakh K khawf Say ibaadat nahi karta,
kyun k ye ibaadat nahi, Ghulami Hai...
Mein ibaadat sirf is liye karta hun...
Kyun k Mera RAB ibaadat K layeq hai.......
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Aik Shakhs ne Hazrat ALI A.S Sey Poocha,
Q: Qareeb Kya Hai?
A: Qayamat
****************************8
Apni zuban ki tezi us per mat azmaa’o jis ne tumhe bolna sikhaaya
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· "Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me
Naakaam ho, Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aae huwe
DOST ko ganwa de"
( Hazrat ALI A.S )
_______________________________________________________
· "2 cheezein saari zindagi kaam aayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI A.S )
_______________________________________________________
· Insaan Bhi kitna Ajeeb hay,
Jab kisi Cheez se Darta hay to us se duur Bhagta hay.
Jab ALLAH se Darta hay to Us k aur Qareeb Ho Jata hay.
( Hazrat ALI A.S )
_______________________________________________________
· Dunya Daaro’n ki sohbat ikhteyaar na karo kyun K Agar tu Tang-dast
huwa to ye tujhe Chorh Denge aur agar tu Dawlat-mand huwa to Tujh
se Hasad karen gay.
( Hazrat ALI A.S )
_______________________________________________________
· Acha Dost kitni dafa Hi kyun na rooth jaye usay Mana Lena
Chahiye! kyun K Tasbeeh K daaney kitni dafa hi Kyun na bikhrei’n
Chun Liye Jate Hain!
( Hazrat ALI A.S )
_______________________________________________________

· "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaaho’n ki saza foran nahi
deta.."
( Hazrat ALI A.S )
_______________________________________________________
· 4 (Chaar) Batei’n Ilm Ka Nichour hain,
1.) ALLAH ki itni ibaadat karo jitni tumhain ALLAH Ki Zarurat Hay.
2.) ALLAH ki naafarmani itni karo jitna ALLAH K Azaab per Sabr kar
Saktey ho..
3.) Dunya k liye itna amal karo jitna K Tumhei’n dunya mein rehna
Hai,,
4.) Aakhirat K liye itna amal karo jitna K Tumhein wahan rehna
Hai....!!!
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Buraayi mein kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda k saath
badiyanati hay.
( Hazrat ALI A.S )
_______________________________________________________
· Kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat dekho, ho
sakta hay us ki sharminda aankhein tumharay dil main ghuroor ka
beej bo dein.
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· "Ibaadat aisi karo jis se tumhari ROOH ko maza aey kyun k jo ibaadat
dunya mei maza na de wo akhirat mei kya JAZAH degi"....
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Barish ka qatra Seep or Saanp dono k munh mein girta hai lekin SEEP
usay MOTI Aur Saanp usay ZEHR bana deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhey ye tumaray haq
mein behtar hay Bajaye iss k tum bura karo aur zamana tum ko acha
samjhe .
( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________________
· Jaha’n Sadaaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath
Barhaao Warna Tumhari TANHAAYI Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI A.S)
________________________________________________________
· Beshak dunya aur aakhirat ki misaal aise hay jaisay 1 (aik) shaks ki 2
(Do) biviyaa’n ho’n, 1 ko raazi karta hay to doosri ruuth jati hay
(HAZRAT ALI A.S)
________________________________________________________
· Nek logo’n ki sohbat ikhtiyar karo nek ban jao gai,
buron ki suhbat se parhaiz karo badi se door ho jao gai.
(Hazrat Ali A.S)
________________________________________________________

· "3 kaam kisi k dil mein aap ki izzat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA."
(HAZRAT ALI A.S)
________________________________________________________
· Achi zindagi guzaarnay k 2 tareeqay hai’n.
1- Jo pasand hain usay haasil kar lo ya Phir
2- Jo hasil hay usay pasand kar lo.
(HAZRAT ALI A.S)
________________________________________________________
· 3 (Teen) Insan 3 cheezo’n se mehroom raheinge
1.Ghusay waala Durust faislay se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kaamiyabi se.
(Hazrat Ali A.S)
________________________________________________________
· Agar Tum Usay Na Pa Sako Jise Tum Chahtay Ho,Tu Usay Zaroor Pa
Lena Jo Tumhe Chahta Hay
(HAZRAT ALI (A.S)
                                                   *** **********************
   Ø  "Jab tum kisi mazloom ko dekho to Zalim kay khilaf uski madad karo".
                                                           Mola ALI (A.S)...
                                                    ************************ 
 Ø “Us Khuda Se Dartay Raho Jis Ki Sift Yeh Hai K Agar Tum Baat Karo To Wo Sunta Hai Or Agar Dil Main Rakho To Wo Janta Hai”.
Mola ALI a.s

                                                          ************************

Ø “Insan ko bolnay k liye 1 saal lagta hai, Par kon sa LAFZ kahan Istemal karna hai, Yai Seekhny k liye puri ZINDAGI lagjati hai”.
Mola ALI a.s

                                                        ***************************

Ø “Beshak Dost pe har cheez Qurban kardo… Par Dost ko kisi cheez pe Qurban mat karna”. Mola ALI a.s

                                                       ***************************

Ø “Logon se Qadar na karne ka Shikwa mat karo…. Kyun k Jo Insaan apne RAB ko bhool sakta hai who sab ko bhool sakta hai”.
Mola ALI a.s

                                                      ****************************

Ø “Jin gharon me Subha k waqat QURAN ki tilawat hoti hai, Wo ghar Aasman walon k liye yun chamakty hain jese Zameen Walo k liye Sitare”.
Mola ALI a.s

                                                     ******************************

Ø “Jisy ALLAH ny Aqal-e-Saleem aur Amal-e-Mustaqeem sy nawaza, us par yaqeen Ehsan-e-Azeem kiya”.
Mola ALI a.s

                                                      ******************************

Ø “Buri Adat ki taqat ka andaza tab hota hai jab unhain chorney ki Koshish ki jati hai”.
Mola ALI a.s

                                                       ******************************

Ø “Kamzor hay wo Shakhs jo DOST na bana saky,, Aur us se bhi kamzor wo Shakhs Hay jo bana huwa DOST kho dai.
Mola ALI a.s

                                                      *******************************

Ø “Gullab ka koi bhi Naam rakh liya jaye, Magar Pehchana to KHUSHBOO se hi jata hai, INSAN bhi waisa hi hai, Uska koi bhi RANG ho ROOP ho ZAAT ho QABEELA ho, Magar Pehchana Apne KIRDAR aur IKHLAQ se hi jata hai”.
Mola ALI a.s

                                                      *******************************

Ø “RIZQ k peeche apna EMAAN kharab mat karo kyun k ROZI Insan ko aese talash karti hai jese marne wale ko MAUT”.
Mola ALI a.s

                                                     *******************************

Ø “Khuda ka Taqar’rub Is say Sawal karne say Hasil hota hai Aur Logo ka Qurb Sawal Na Karne Say Hasil hota hai”.
Mola ALI a.s
Ref:Garar-Ul-Hikam

                                                    ********************************

Ø “Frishton ki SajdaGah hy Chehra HUSSAIN a.s ka, Kehne laga Shaitan se KHUDA HUSSAIN a.s ka, Nikal ja Meri Darbar se Le k IBadaten sari, Mere Liye Kafi hai Sajda HUSSAIN a.s ka”.
                                **************************************************
Ø “Mojzey Bhi Kia Jalwa Numa Dikhata Hai Ali a.s, Maar kar Phr Murdo’n ko Jagata hai Ali a.s, Main q Na Uski Sakhawat Pe Qurban Jaun, Apney Hi Qatil Ko Sharbat Pilata hai Ali a.s, ALI a.s Ki Qudrat Ki Ek Misaal Ye Bhi Hai, Apne Soye Huey Qatil Ko Jagata Hai Ali a.s, Aisa Yaqeen Kis Ne Kia Hy Zaban-e-MUSTAFA Pr, Shab-e-Hijrat Itmenan Ki Neend So Jata Hai Ali a.s, Log Kehtey Hain ALI a.s Haq Ki Raah Pr Hy Mgr, Mera Aqeeda Hai Haq ko Apni Raah Pe Chalata Hai ALI a.s”.
                                  ***********************************************

"RIZQ  kay piche apna EMAAN kharab mat kar,
kiyun k ROZI Insan ko aisay talash karti hai jaise
marnay wale ko MOUT ".
(Hazrat ALI A.S)
__________

Gulaab ka koi bhi Naam Rakh liya jaye,
Magar Pehchana to "Khusboo" se hi jata hai,
"Insaan" bhi waisay hi hai, uska koi b bhi "Rang" ho
"Roop" ho "Zaat" ho "Qabeela" ho,
Magar pehchana apne "kirdar" or "Ikhlaq" se hi jata hai.
(Hazrat ALI A.S)
___________


Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
( Hazrat ALI A.S )
———–


 Kisi ne Hazrat ALI A.S se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
“Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
“Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya:
“Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
———–

Ager kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do!
Wo Aala zaraf hoa to ap ko aur izat day ga!
aur kam zarf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga!
( Hazrat ALI A.S )
———–

 Hazrat ALI A.S Ka Farman Hay:-
“Bura Dost Koely Ki Manind Hay”
“Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega”
“Aur Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega”
———–

Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
( Hazrat ALI A.S )

Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
Allah Ki
Enayat Hain!.
(Imam Hussain A.S)
———–
———

Hazrat ALI A.S SAYS
TUMHARE 3 DOST HAIN
1 TUMHARA DOST
2 TUMHARAY DOST KA DOST
3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN
TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN
1 TUMHARA DUSHMAN
2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST
3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN
———–

Hazrat ALI A.S ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi
roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k
eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU- WA TAALA ne muaf kar dia
———–

Hazrat ALI A.S Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
———–

Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khush hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI A.S )
———–

IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI A.S )
———–

Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho!
Ya phir gharoor se dekh rahe ho!
( Hazrat ALI A.S )
———–

Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho!.
[HAZRAT ALI (A.S)]
———–

sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho!
( Hazrat ALI A.S )
———–

Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke
Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
Hazrat ALI A.S
———–

Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay!
Main Dozakh K Khouf Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai!.
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon…
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai…… ( Hazrat ALI A.S)
———–

Aik Shakhs Ne Hazrat ALI A.S Sey Poocha,
Q: Qharib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qhareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Our Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
———–

Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI A.S )

Yaani Maa aur Baap ka Adab karo!


———–

“Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de”( Hazrat ALI A.S )
———–

“2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI A.S )
———–

Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hay.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k aur Qhreeb Ho Jata Hai!.
( Hazrat ALI A.S)
———–

Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Aur agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI  A.S )
———–

Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Rooth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI A.S )
———–

“Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..”
( Hazrat ALI A.S )
———–

4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay!.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho!..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Main Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain….!!!
( Hazrat ALI A.S )
———–

Buraee main kisi ka sath dena Ghatiya pan aur khuda k sath bad diyanti hay!.( Hazrat ALI A.S )
————

kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharoor ka beej bo dain.( Hazrat ALI A.S )
————

“Golden Words”
“Her INSAN ki izzat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai”
( Hazrat ALI A.S )
————

“Ebadat aesi kro jis se tumhari ROOH ko maza aey QYOUN k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi”… .( Hazrat ALI A.S )
————

Barish ka Qtra SeepAur Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jaesa Zarf waesi uski Takhliq
( Hazrat ALI A.S )
————

Tum accha karo aur zamana tum ko bura samjhe!
ye tumaray haq main behtar hai
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe!
( Hazrat ALI A.S )
————

Jahan Sadaaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI A.S )
————

Bay shak dunya aor akhrat ki misal
aisi ha jasay 1 shaks ki 2 bvian(wives)
hon 1 ko razi karta ha to dosri rooth
jati hai!
HAZRAT ALI(A.S)
————

Agr kisi ka ban’na chahtay ho to pori hakeqat se ban jao… warna,apni zaat mn aisi hakeqat peda kr lo k koi hakeqat mien tumhara ban jaye…!
(HAZRAT ALI A.S)
————

Naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai.(Hazrat Ali A.S)
————

¤(HAZRAT ALI )¤~
“Agr koi tumhara dil dukhaey to naraz na hona Qyoun K Qanoon e Qudrat hay k jis darakht p ziada meetha phal hota hay usay log ziada patthar marte hain!
————

Teen kaam kisi k dil main ap ki izzat barhatay hain!:
1- Salam karna.
2- Kisi ko majlis mein baithne ki jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA.”Yaani Pure Naam se mukhatib karna!
(HAZRAT ALI A.S)
————

HAZRAT ALI (KAW) said
Buray Insaan ki Sohbat se Perhaiz karo kyun kay woh Talwar ki Tarha hey Jo Dekhney mein Khobsorat aur Asar mein Khatarnak hai!.
————

Achi zindagi guzarney ke 2 tareekhay hain!.
¤ Jo pasand hai usay hasil kr lo!
ya Phr
¤ Jo hasil hai usay pasand kr lo!. Yaani Qhina’at ikhtiyar karo!
(HAZRAT ALI A.S)
————

TEEN Insan 3 chezon se mehroom rahenge!
1.Ghussay wala Durust faisly se!
2.Jhoota Izzat se!
3.Jald baaz Kamyabi se!.
(Hazrat Ali A.S)

————

Allah k nazdeek sab say ziada gunah gar cheez jhoot bolnay wali zuban hai!.
(Hazrat Ali RA, Nuzhat ul Majalis, page 510)
————

GULAB KA PHOOL BNO!KYUNKE YEH PHOOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI.”HAZRAT ALI A.S”
————

khush mizaji hamesha khoubsorti ki kami ko poora kar deti hai!,
lekin khoubsorti khush mizaji ki kami ko pura nahi kar sakti!.
(Hazrat ALI) A.S
————

Agr Tum Usy Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho,Tu Usy Zroor Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hai
Qiyun K Chahne Se, Chaahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hai!
HAZRAT ALI (A.S)